Yun Hi Nahin Goonjti Kilakariyan Ghar Aangan Ke Kone Mein,
Jaan Hatheli Par Rakhni Padti Hai “Maa” Ko “Maa” Hone Mein.
यूं ही नहीं गूंजती किलकारियां घर आँगन के कोने में,
जान हथेली पर रखनी पड़ती है “माँ” को “माँ” होने में।
Nice Hindi Shayari about Mother in Two Line
Jab Jab Kagaz Par Likha, Maine “Maa” Ka Naam,
Kalam Adab Se Bol Uthi, Ho Gaye Chaaro Dham.
जब जब कागज पर लिखा, मैने “माँ” का नाम,
कलम अदब से बोल उठी, हो गये चारो धाम।
Oopar Jiska Ant Nahin Use “Aasmaan” Kahte Hain,
Is Jahan Mein Jiska Ant Nahin Use “Maa” Kahte Hain.
ऊपर जिसका अंत नहीं उसे “आसमां” कहते हैं,
इस जहाँ में जिसका अंत नहीं उसे “माँ” कहते हैं।
Meri Taqdeer Mein Kabhi Koi Gam Nahi Hota,
Agar Taqdeer Likhne Ka Haq Meri Maa Ko Hota.
मेरी तक़दीर में कभी कोई गम नही होता,
अगर तक़दीर लिखने का हक़ मेरी माँ को होता।
Main Raat Bhar Jannat Ki Sair Karta Raha Dosto,
Aankh Khuli To Dekha Mera Sar Maa Ki God Mein Tha.
मैं रात भर जन्नत की सैर करता रहा दोस्तो,
आँख खुली तो देखा मेरा सर माँ के गोद में था।
Khaane Kei Cheezen Maa Ne Jo Bheji Hain Gaon Se,
Basi Bhi Ho Gai Hain, To Lazzat Vahi Rahi.
खाने की चीज़ें माँ ने जो भेजी हैं गाँव से,
बासी भी हो गई हैं, तो लज़्ज़त वही रही।